baaghi famous quotes
Baaghi Movie Famous Dialogues : Baaghi : A rebel for love was released world wide on 29 aprill 2016 . Tiger shroff and shraddha kapoor chemistery set fire on bollywood . This film Made on a budget of ₹35 crore (US$4.1 million), the film earned over ₹129 crore (US$15 million) worldwide. Later, it spawned two spiritual sequels titled Baaghi 2 (2018) and Baaghi 3 (2020) .
CHECK MORE : Shraddha kapoor Upcoming Movies
Baaghi Movie Famous Dialogues
1. Agar tera mera koi connection hai, toh agli baar jab baarish hogi … hum apne aap mil jayenge
2. Maana mera tareeka galat tha … par kya karoon, tumse bahut pyar karta hoon
3. Manushya apni taqat se kisi ko jeet sakta hai, jhuka sakta hai … lekin pyar nahi paa sakta
4. Baaghi bano, be a rebel … par kisi maqsad ke liye
5. Itni jaldi kya hai … abhi toh maine start kiya hai
6. Tu bahut aage jayega … kyun ki tu jahan bhi jayega na … log bolenge chal beta aage bhad
7. Ek baaghi aur ek sipahi mein zyada farak nahi hota hai … bas yeh unke maqsad hai joh ek ko baaghi banata hai aur doosre ko sipahi
8. Ek baaghi aur ek sipahi mein zyada farak nahi hota hai; bas yeh unke maqsad hai joh ek ko baaghi banata hai aur doosre ko sipahi
9. Agar pyar karna bagawat hai, kisi ko sahara dena bagawat hai; toh main aapke khilaf, aapke kanoon ke khilaf, aapke samaaj ke khilaf bagawat karta hoon; main bhaagi hoon; haan main bhaagi hoon
10. Agar yeh hi hai aapki duniya toh nahi chahiye mujhe aapki duniya; nahi chahiye mujhe woh duniya jis mein ek ladki ke saare haq cheene jaye; beti hone ka, behen hone ka, biwi hone ka; ek zinda insaan ko ek bejaan cheez ki tarah bazar mein rakha jaye; uska mol lagaya jaye, usse khareeda jaye, usse becha jaye; aur phir kaha jaye ki yahi duniya ka dastoor hai; nahi chahiye mujhe aapki duniya
ALSO READ : kareena kapoor upcoming movies