salman khan and shahrukh khan karan arjun film quotes
Karan Arjun Movie Famous Dialogues : Shah Rukh Khan and Salman Khan starrer Karan Arjun completed 30 years . This Hit movie Released in 13 january 1995, Karan Arjun tells the tale of two brothers who return from the dead to avenge their father’s death. The film, directed by Rakesh Roshan, also star Raakhee, Kajol, Mamta Kulkarni and Amrish Puri. The film received positive reviews from critics and grossed ₹450 million ($20 million), emerging as an “all-time blockbuster” and the second highest-grossing Bollywood film of 1995 after Dilwale Dulhania Le Jayenge (also starring Shah Rukh Khan, Kajol and Amrish Puri). It was the 6th highest-grossing film of the decade.

ALSO READ : sai pallavi next movie
Karan Arjun Movie Famous Dialogues
- Mere bete aayenge, mere Karan Arjun aayenge … zameen ki chaati phad ke aayenge, aasman ka seena cheer ke aayenge
- Main toh samajhta tha ki duniya mein mujhse badkar kamina aur koi nahi hai … lekin tumne end mauke par aaisa kaminapan dikhaya hai … ki hum tumhare kaminepan ke ghulam ho gaye hai
- Aaisi maut maroonga is kamine ko … ki bhagwan yeh punar janam waala system hi khatam kar dega
- Kiss gaalon pe nahi … hoton pe kiya jata hai
- Mere dushmano ko sar chupane ke liye jagah dene waalon … main tumhari chittaon ko jalne ke liye jagah nahi doonga
- Daulat se insaan keemti bistar khareed sakta hai, magar neend nahi khareed sakta … daulat se insaan roti khareed sakta hai, magar bhook nahi … daulat se insaan jism khareed sakta hai, magar sacha pyar nahi khareed sakta
- Pyar mein jab tak maut se na khelo … milne waali zindagi ka mazaa nahi aata
- Daayan haath jeb mein rakh lo seth … varna zindagi bhar aapko baayen haath se khana, khana padega
- Ghode par bahetkar jaan ki baazi lagane mein woh maaza nahi … joh chahat ke maidan mein dil ki baazi laga dene mein hai
- Jab maa ka dil tadapta hai na … toh aasman mein bhi daraarein padh jati hai
- Main toh budhi ho gayi, meri aankhen kamzor ho gayi … lekin mera vishvas kamzor nahi hua
- Khoon ki Holi khelne waale, aaj main dekhti hoon … khoon kiska behta hai aur laashein kiski girti hai
- Waqt ka marham … zindagi ke har zakhm ko bhar deta hai
- Mere andhere jeevan mein … subah phir se laut aayi hai
- Hamare ghar ki bahu betiyan jab kabhi beizzati ke daldal mein kadam rakhti hai … toh hum unhe haveli ki char deewari mein zinda chunwa dete hai
- Marte insaan ki antim ichcha poori karna … is sansar ka sabse bada punya hove hai
- Main teri maut apni mutthi mein laya hoon
- Paison ke mamle mein main pehdaishi kamina hoon … dosti aur dushmani ka kya, apno ka khoon bhi pani ki tarah baha deta hoon
- Apne raaste se kaanto ko hata dena aur dushmano ko mita dena … hamare khandan ki parampara hai
- Zindagi mein joh hota hai woh socha nahi hota … aur joh socha jata hai woh kabhi hota nahi … aur joh kabhi nahi hota, woh kabhi kabhi ho jata hai
- Bhudhape mein jism bekaar ho jaate hai … lekin tune toh apni zindagi hi bekaar kar di
- Bhavnao ki chot jab dil par lagti hai … toh nafrat ki jwala badakh uthti hai
- Hum khandani Thakur hai … hamari ragon mein khoon ke saath saath zid aur ahankaar bhi daudta hai
- Tere saare khandaan ki maut … mere haath ki lakeeron mein likhi hai
ALSO READ : kalidhar lapata release date announce